What is friction ? Gharshan bal kya hai ? - All Exam Guide

Wednesday, September 12, 2018

What is friction ? Gharshan bal kya hai ?

Dear students, friction word hamare life se juda hua ek aisa sabd hai jo daily life me use aata hai. Daily ke work me friction hamesa use aata hai. Chahe bah chalne ke lie use ho ya cycle ke lie ya car ke lie. But friction daily life me kisi na kisi tarah use jarur hota hai. To aaj ham friction ke bare me deatil janege ki friction kya hota hai? Friction force kyo utpann hota hai aur friction kitne prakar ka hota hai.
Friction ke bare me deatil baat kre is se pahle bta de ki agar friction nhi hota to ham chal nhi paate aur na hi koi car ya cycle chal paati kyonki in sab ke chalne ka bajah friction hi hai. Yah bhi baat hai ki friction se loss bhi hota hai lekin yah to sabhi ko pata hai ki jaha fayda hota hai bha loss bhi hota hai.

Gharshan bal kya hai

 What is friction - Gharshan bal kya hai?

Jab koi bhi do body ke bich motion hota hai jis se agar dono body ke bich gharsan utpann hota hai to is time par body ke contact surface ke bich ek force utpann hota hai. Isi force ko friction force kahte hain. Friction force ke lie yah jaruri nhi ki dono body ke bich motion ho hi. Yah bhi ho sakta hai ki body me motion nhi ho rha ho lekin motion ki tendency ho to is time par bhi body ke bich friction force lagta hai. 
           Yah kahna galat hoga ki friction hamesa motion ko oppose hi karta hai balki yah kahna sahi hoga ki friction relative motion ko oppose karta hai. Example ke lie jab ham chalte hain to hamare pair ka ground ke respect me relative motion piche ki or rahta hai is karan hamare pair par friction force aage ki or lagta hai. Is karan se ham aage ki or chal paate hai matlab ki hamare chalne ka bajah friction force hi hai. Agar road par kahi koi gaadi chal rhi hai to uske motion ke piche ka bajah bhi friction hi hai. Matlab ki friction ke karan hi motion sambhab ho paya hai. Agar friction nhi hota to motion sambhab nhi ho pata.

Types of friction

Friction mainly rup se 2 type ke hote hain.
  1. Static friction
  2. Kinetic friction

(1) Static friction

Jab do body ke bich motion nhi hota hai sirf motion ki tendency hoti hai to us time ke friction ko ham static firction kahte hain. Example ke lie agar raste par koi bada sa patthar rakha hua hai aur aap us patthar ko dhakka de rhe hain lekin bah patthar chal nhi rha hai to us time ke friction ko static friction kahege. Static friction ka value constant nhi hota hai. Static friction apna value change karta hai. Static friction ka value utna hi hota hai jitna force se ham body ko pull ya push karte hain. Static friction change to hota hai aur iske maximum value ko limiting friction bhi kahte hai.

(2) Kinetic friction

Jab do contact surface ek dusre ke respect me motion kar rhe ho aur un dono surface ke bich jo friction force utpann hota hai use kinetic friction kahte hain. Kinetic friction body ke motional situation ke bich hota hai. Jaise agar raaste me koi chhota sa patthar gira hua hai aur aap us patthar ko kas kar dhakka dete hain aur bah patthar chalne lagta hai to us time par patthar par lagne bala friction ko kinetic friction kahte hain. Kinetic friction ka value constant hota hai. Iska value change nhi hota hai aur kinetic friction ka value limiting friction se thoda sa kam hota hai.

Ab yah aap bhi jante hoge ki jaha fayda hai bha loss bhi hai islie friction se fayde to bahut hai lekin friction ke karan loss bhi hota hai.

No comments:

Post a Comment