What is circular motion? Vritya gati kya hai ? Types of circular motion. - All Exam Guide

Thursday, September 13, 2018

What is circular motion? Vritya gati kya hai ? Types of circular motion.

What is circular motion? Yah question mujhse aksar pucha jata hai. Baise to circular motion sare student ko pata hota hai. Lekin cicular motion ke bare me detail knowledge bahut kam student ko pata hota hai. Islie aaj ham circular motion ke bare me detail knowledge prapt karege. Circular motion kitne type ka hota hai iske bare me bhi detail knowledge prapt karege. 

What is circular motion - Vritya gati kya hai?

Friends circular motion kya hai iske bare me hame iske name se hi pata chalta hai ki agr koi body circular path par chale to use circular motion kahte hai. Matlab ki agar koi body ek vritya path par chale to use circular motion ya vritya gati kahte hain. Chahe circular path par chalte bakt kisi body ka speed badhe ya ghate is type ke motion ko ham circular motion kahte hain. Ha yah baat bhi ki circular motion me chalte bakt kisi body ka speed badh bhi sakta hai ya ghat bhi sakta hai ya constant bhi rah sakta hai. 
Circular motion ke bare ek baat aur janna bahut jaruri hai ki circular motion me speed to constant ho sakta hai lekin velocity kabhi bhi constant nhi rahta hai kyonki circular motion me velocity ka direction continuously change hota hai aur velocity ek vector quantity hai aur direction change hone se vector change hota hai. Islie velocity bhi change hota hai. 


Type of circular motion

Ek baat yah bhi jaruri hai ki circular motion kitne type ka hota hai. Kyonki aapko pata hai ki circular motion me speed constant bhi ho sakta hai ya change bhi ho sakta hai lekin velocity hamesa change hota hai.
  1. Uniform circular motion
  2. Non-uniform circular motion

(1) Uniform circular motion

Jaisa ki aap upar jane ki circular motion me speed constant bhi ho sakta hai ya change bhi ho sakta hai islie ek aisa circular motion jisme body ka speed constant hota hai us type ke circular motion ko uniform circular motion kahte hain. Aap ko yah bbat bhi dhyan dena chahiea ki uniform circular me speed to constant hota hai lekin velocity hamesa change hote rahta hai. Matlab ki kisi bhi type ke circular motion me velocity hamesa change hote rahta hai. 
Aap ko yah janna chahiea ki circular motion me body ke paas acceleration ka 2 component hota hai (i) Centripetal acceleration or radial acceleration (ii) Tangential acceleration. Lekin uniform circular motion me body ke paas sirf centripetal acceleration hota hai. 

(2) Non-uniform circular motion

Non-uniform circular motion baisa motion hota hai jisme body ka speed constant nhi hota hai. Is type ke circular motion me body ka speed ya to badh sakta hai ya ghat sakta hai. jaise ki agar koi body circular motion me start hua aur uska speed badh rha hai to us circular motion ko non-uniform circular motion kahege. Non-uniform circular motion me body ke paas 2 acceleration hota hai pahla hai centripital acceleration aur dusra hai tangential acceleration. 

Acceleration in circular motion

Friend circular motion me body ke pass 2 acceleration hota hai
  1. Centripital acceleration
  2. Tangential acceleration
Circular motion me centripetal acceleration ko hi radial acceleration kahte hain. Aisa islie ki centripetal acceleration ka direction circle ke center ki or radius ke direction me hota hai. Centripital acceleration uniform aur non-uniform circular motion dono me hota hai Lekin tangential acceleration only non-uniform circular motion me hota hai. Tangential acceleration ka direction circular motion ke path ke along hota hai.

No comments:

Post a Comment