Board exam ki taiyari kaise kre. Important for board exam. - All Exam Guide

Wednesday, August 15, 2018

Board exam ki taiyari kaise kre. Important for board exam.

Friends jab bhi board exam ki baat aati hai to students ko tension ho jati hai ki board exam ki taiyari kaise kre. Board exam ka tips kya hai? Friends aaj ham board exam ke important tips ke bare me baat karege. Agar aap board exam ke in sare tips ko follow karte hai to aapka board exam ka prepration bahut hi best ho jaaega. Islie aap board exam ka best prepration kaise kre iskelie is post ko last tak padhe jisme maine detail me baat kri hai.

How to Preparation Board Exam (Board ki taiyari kaise kre)

 Board exam ke best preparation karne ke lie niche likhe tips ko follow kijie. yah tips aapko board exam preparation ko best banaega.

Tips of preparation of Board Exam.
Board Exam preparation tips

(1) Regular study:- 

Board exam ke best preparation ke lie sabse jyada aur sabse jaruri tips hai ki aap study regular kre. Jab aap regular study karte hai to is se aapka study par focus bna rahta hai. islie bahut jaruri hai ki aap study regular kre. Agar aap study regular karte hai to is se aapka study me interest bana rahega aur aapko padhne me bahut hi maja aaega. Regular study karne se aapka mind study par focus acche se rahega. Aapko apne Board Exam ke lie notes taiyar karne me bhi help milega aur aapko apke dvara padha gaya topic acche se revision bhi hote rahega. 
                    Aap bas itna samajh lijie ki jab tak aap regular study nhi karege tab tak aapke lie koi bhi tips kargar nhi hoga. Regular study karne se aapko nimnlikhit fayde hoge.
  • Notes banane me easy hoga.
  • Chapter ka revision bhi accha hoga.
  • Study par mind focus rahega.
  • Koi bhi topic aapse nhi chutega.

(2) Best class notes:- 

Ek acche student ki pahchan uske dvara taiyar kiya gaya class notes se hi hota hai. Jab aap ek bahut accha class notes taiyar karte hai tab exam ke bakt aapko revision karne me bahut hi easy hoga. Best notes taiyar karne se aapka revision focus bahut hi accha ho jata hai. Islie hamesa kosis kre ki notes taiyar karte bakt chapter par aapka bahut accha pakad ho. Aap chapter ka accha knowledge rakhte hai. Jab aap bahut accha notes taiyar karte hai tab aapka chapter strong ho jata hai aur aapka board exam ka prepration bhi accha ho jata hai. Aap bahut accha exam notes taiyar karne ke lie niche likhe point ko follow kijie.
  • Aap bahut accha notes taiyar karne ke lie writing bahut accha likhe.
  • Aap notes ke important point ko highlight kar de.
  • Class regular karna bahut hi jaruri hai. Regular class karne ke bad hi aap apna notes bahut accha bna sakte hai.
  • Chapter par apna pakad bahut hi majbut banaiea.
  • Numerical ko kisi dusre copy me likhiea.
  • Notes taiyar karne ke lie ek accha aur quality ka copy use kijie.

  (3)  Hard topic par focus karna:- 

Board exam ka best taiyari karne ke lie yah bhi bahut jaruri hota hai ki aapko jo topic bahut hi hard lagta hai aap us topic par bahut acches se focus kijie. Generally exam me yah hota hai ki exam paper me hard topic se long answer question bahut jyada pucha jata hai. Islie agar aapka hard topic strong nhi rahega to aap long answer question ko bahut acche tarah se exam me nhi solve kar paenge. Islie long answer question ko banane ke lie hard topic ko strong karna bahut hi jaruri hota hai. Aap hard topic ko strong karne ke lie niche likhe points ko follow kar sakte hai.
  • Hard topic ko strong karne ke lie aap sabse pahle basic ko strong kre.
  • Aap basic formulae aur basic concept se practice kre.
  • Numerical portion ke concept par accha focus kre.
  • Hard topic dekh kar ghabraye nhi.
  • Agar aapko topic kafi hard lagta hai tab aap apne teacher se contact kre.

(4) Exam ke lie best time-table banaye:- 

Board exam ko best karne ke lie ek bahut hi accha aur suitable time-table ka hona bahut jaruri hai. Agar aapke pas ek bahut accha time table nhi hoga to aapka syllabus time par acche se khatm nhi ho paega. Islie bahut hi accha study karne ke lie ek time table ka hona bahut jaruri hai. Aap time table banane ke lie apne teacher se contact kar sakte hai. Aap time table  me sare subject ko include kre kyonki jab tak aap total subject ko acche se nhi padhege tab tak aapka exam preparation best nhi hoga.


(5) Focus on syllabus:- 

Yah bhi bahut jaruri hai ki aap syllabus par focus acche se kre. Jab tak aap syllabus par acche se focus nhi karte hai tab tak aapka study accha nhi hoga. Maine bahut sare student aur teacher ko dekha hai ki bo syllabus ko time par khatam nhi kar pate hai. Islie unko exam me adhura knowledge ke sath hi paper dena padta hai aur unka board exam preparation best nhi ho pata hai.

No comments:

Post a Comment