What is electric current - Vidhut dhara kya hai? - All Exam Guide

Saturday, September 1, 2018

What is electric current - Vidhut dhara kya hai?

Daily life me ham electric current ka use karte hain. Aaj ham electric current ke bare me detail janege ki electric current kya hota hai? Agar aap class 10 ya class 12 ke student hai to aap electric current ka name jarur sune hoge kyonki electric current lower class se hi syllabus me padhna hota hai.

What is electric current - Vidhut dhara kya hai?

Generally aisa sunne ko milta hai ki electric current electron ke flow ko kahte hai lekin yah baat 100% right nhi hai kyonki electric current na sirf electron (negative charge) ka flow hota hai balki yah charge ka flow hota hai. Electric current positive ya negative dono me se kisi bhi charge ke flow ke karan ho sakta hai. Agar khi positive charge flow karega to bha bhi electric current flow karega aur agar khi negative charge flow karega to bha bhi electric current flow karega. Matlab ki ham kah sakte hain ki "Electric current is the flow of charge. It may be due to flow of positive charge or negative charge"

What is direction of electric current?

Ab jab ham itna jan gaye ki electric current kya hota hai to electric current ke direction ke bare me bhi jan lete hai. Electric current ka direction always positive charge ke flow ke direction me hota hai lekin jab current negative charge ke karan mile to electric current ka direction negative charge ke flow ke opposite direction me milta hai. Example ke lie agar proton (positive charge) ka flow east direction me ho rha hai to electric current bhi east direction me flow karega lekin agar electron (negative charge) ka flow east direction me ho raha hai to current east ke opposite direction me flow karega kyonki electron negative charge hota hai.

What is measurement of current?

Electric current kya hai? Electric current ka direction kya hota hai? Iske bare me janne ke bad ham yah bhi jan lete hai ki electric current ko measure kaise karte hai?
Electric current ka measurement charge ke flow ke rate se kiya jata hai matlab ki current 1 second me flow hone bale charge ko kahte hain. Example ke lie agar kisi wire se 3 second me 15 C ka charge flow karta ho to current ka value 5A hoga kyonki 1 second me flow karne bala charge 5C hai.
Device which measure the electric current.
Electric current kya hota hai
What is electric current
 Electric current ko measure karne ke lie Ammeter ka use kiya jata hai. Aap kabhi-kabhi yah bhi sunege hoge ki electric current ka measurement galvanometer se bhi kiya jata hai.
NOTE
When any battery is connected with external circuit then electron flows from negative terminal to positive. So, direction of current is from positive to negative terminal because direction of current is opposite to flow of electron.

What is Ohm's law?

Friends jab baat electric current ki ho aur Ohm's law ka jikr na ho aisa ho hi nhi sakta hai. Is lie ab ham baat Ohm's law ki karte hai.
Ohm's law ke anusar jab kisi conductor ko kisi potential difference se connect kiya jata hai to us conductor se flow karne bala current us potential difference ke directly proportional hota hai. Lekin iske lie ek condition hota hai ki conductor ka temperature constant hona chahiea. Agar ham ise simple sabd me kahe to "Saman tapmaan par kisi chalak se bahne bali vidhut dhara ka maan us chalak ke siro ke vibbhantar ke samanupati hota hai."

No comments:

Post a Comment