Collision kya hota hai? Collision kitne type ka hota hai? - All Exam Guide

Thursday, August 30, 2018

Collision kya hota hai? Collision kitne type ka hota hai?

Class 11th me ek very-very important topic hai jiska name hai collision. Agar koi student JEE-Advance ya NEET ka preparation karta hai to iske lie collision chapter base ke sath strong hona bahut jaruri hota hai. Aaj ham collision ke bare me detail knowledge gain karege. 

What is collision? (Collision kya hota hai?)

Friends collision ka simple meaning takkar hota hai lekin physics me yah jaruri nhi ki body ke bich collision hone ke lie takkar hona jaruri hi hai. Agar kisi body ke karan kisi dusre body ke physical state me koi changing aata hai to ise collision kha jata hai. Ham ise acche se samajhne ke lie kuch example ko dekhte hai.
  1. Agar koi body khi rest me ya motion me hai aur agar us body se koi dusra body aakar takrata hai to is karan dono body ke state me changing aaega to ise collision kha jata hai.
  2. Aap man lijie ki ek body jo rest me horizontal surface par rakha gaya hai aur yah body spring se connect hai. Jab koi dusra body us spring se aakar takrata hai to iske karan bah body jo spring se connect hai uske state me bhi changing aaega to yah bhi ek collision hi hai. Yah dhyan dene bali bat hai ki is time dono body ka koi bhi direct contact nhi hai lekin phir bhi dono body ke bich collision hua hai. 
To ham log final kah sakte hai ki jab kisi ek body ke karan kisi dusre body ke state me koi changing aata hai to kha jata hai ki dono body me collision hua hai.

Collision kya hota hai
What is Collision

 Type of collision (Collision ke prakar)

Baise to collision bahut type ke hote hai aur yah is bat par depend karta hai ki collision ka type kis aadhar par kiya ja rha hai. Jaise ki agar ham collision ko uske direction ke aadhar par agar batte hai to yah 2 type ka hota hai lekin agar ham collision ko energy ke aadhar par dekhe to yah 3 type ka hota hai.

Type of collision on the basis of direction

  1. 1-D collision (1-Dimensional collision) or Head-on collision.
  2. 2-D collision (2-Dimensional collision) or Oblique collision.

  1-D collision or Head-on collision

Yah ek aisa collision hota hai jisme body ke collision ke pahle aur collision ke bad body ka path of motion same hota hai. Is type ke collision me body ka path of motion straight line hota hai. Apko ek bat aur janna chahiea ki collision kisi type ka ho usme collision ke pahle aur collision ke bad system ka momentum conserve hota hai. Is type ke collision me body ke motion ke pahle aur motion ke bad speed ka changing aa sakta hai lekin path of motion same rahega.

2-D collision or oblique collision

Yah ek aisa collision hai jisme collision ke pahle aur collision ke bad body ka path of motion same nhi hota hai. Is collision ke takkar ke bad body ka path of motion change ho jata hai. Is collision me body ke speed me changing aa sakta hai lekin path of motion must change hoga. Is type ke motion me x-axis aur y-axis dono ke along momentum ko conserve karna hota hai.

Type of collision on the basis of energy

  1. Elastic collision or Perfectly elastic collision
  2. Inelastic collision
  3. Perfectly inelastic collision

Elastic collision or Perfectly elastic collision

Sabse pahle to aap yah jan le ki elastic aur perfectly elastic collision ek hi hai lekin inelastic aur perfectly inelastic collision ek nhi hai.
Elastic collision ek aisa collision hota hai jisme energy ka koi loss nhi hota hai. Is type ke collision me collision ke pahle aur collision ke bad system ka energy same hota hai. Aap simple way me kah sakte hai ki elastic collision me collision ke pahle aur collision ke bad kinetic energy same hota hai.

Inelastic collision

Is collision me collision ke pahle aur collision ke bad energy same nhi hota hai matlab ki energy ka loss hota hai. Is collision me pahle aur bad ke kinetic energy ko equal nhi kiya ja sakta hai kyonki energy ka loss hota hai.

Perfectly inelastic collision

Perfectly inelastic collision bhi inelastic collision ke hi jaisa hota hai lekin is collision me energy ka loss maximum hota hai. Perfectly inelastic collision me energy ka loss elastic collision se jyada hota hai. Perfectly inelastic collision me collision ke bad body ek dusre se chipak jati hai.

No comments:

Post a Comment