NEET Exam prepation tips || Medical Exam preparation tips. - All Exam Guide

Sunday, September 16, 2018

NEET Exam prepation tips || Medical Exam preparation tips.

Friends jo bhi student 10th class ke bad biology subject lekar padhte hain unke man me ek hi sapna hota hai ki bah ek accha doctor ban sake. Baise doctor banne ka bahut sara tarika hai lekin doctor banne ke lie ek tarika yah bhi hai ki aap NEET exam ka preparation kre aur us exam ko nikale. Jab aap us exam ko nikalege to aap ka admission medical college me hoga aur aap NEET se ek accha doctor ban jaaenge. Aaj ham NEET exam ke prepation ke kuch tips ko janege ki kis tarah NEET exam ka preparation kya jae taki NEET exam acche se qualify ka sake.

(1) Daily self study

NEET exam ki acchi preparation ke lie yah jaruri hai ki aap self study jarur kre. Jab aap self study karege to is se aapka study strong hota jaega aur aapka medical exam ke lie concept bhi strong hota jaaega. Self study karne se khud ka brain bhi kafi accha ho jata hai aur student ek strong student ban jata hai. Aap daily regular self study kre. Koi bhi student jitna jyada self study karega uska NEET exam ka preparation utna hi jyada accha hoga. Islie yah bahut jaruri hai ki aap NEET ki preparation ke lie different-different book ko padhe. Aap numerical ke lie self study jarur kre. Aap jitna jyada numerical ke bare me sochege to aapka preparation utna hi jyada accha hoga.

Self study karne se student ka concept bhi bahut accha ho jata hai kyonki maine bahut sare student ko dekha hai ki uska kisi subject ka concept hi accha nhi hai. Islie na tuo unhe koi subject acche se samajh me aati hai aur na hi unse numerical solve ho pata hai. Aur in sari paresaniyo ka bajah yah hai ki bah self study nhi karta hai. Is lie agar aap NEET exam ka preparation acche se karte hain to self study bhi karte hoge.


(2) Numerical practice

Medical exam ko nikalne lie sare tips me yah tips bhi bahut hi important tips hai. Agar aap numerical ka practice nhi karte hain to aap yah jan le ki aapka NEET exam kabhi bhi nhi niklega kyonki aapko pata hoga ki NEET exam me numerical bahut hi jyada pucha jata hai aur exam me student se numerical tabhi banega jab student pahle se numerical ka practice karega. Numerical practice karne ke lie self study karna bahut hi jaruri hai. Koi student jitna jyada concept ko samjhega us se numerical utna hi jyada banega. Acche se numerical solve karne ke lie student ko hard work karna chahiea aur use bahut hi jyada practice karni chahiea. Koi student jab tak practice nhi kargega tab tak use se numerical solve nhi hoga.

Numerical ko acche se banane ke lie student short notes bna sakta hai. short notes banane se revision karne me bhi help milta hai aur numerical formulae ke short notes se formulae yad karne me bhi help milta hai.

(3) Regular study

Agar aapko NEET exam nikalna hai to aap yah pran kar le ki aap study regular karege kyonki agar aapme regular study karne ki kabiliyat nhi hai to aapse NEET exam nikalna bahut hi jyada muskil hai. Regular study karne se aapko sara numerical formulae bhi yad rahta hai aur mind bhi study par focus rahta hai. Jab tak aap regular study nhi karege to aap NEET exam nikalne ka sapna man se hata dijie. Regular study hi bo key hai jiske jariye aap NEET exam ki safalta tak pahuch sakte hain. Jab tak aap study daily nhi kijiega tab tak aapka kabhi bhi syllabus bhi khatm nhi hoga aur jab tak aapka syllabus khatm nhi hoga tab tak aapka exam me pass ho pana bahut hi muskil hai.

(4) Best time-table

NEET exam ko nikalne ke lie ek accha time-table bhi hona bahut jaruri hai. Agar aapke pass ek accha time-table rahega to aap regular study bhi kar paaege aur sath-sath apne time table me self study ka jagah jarur banaye. Alag se time-table me numerical practice ke lie bhi time hona chahiea. Best time-table sirf banane se bhi nhi hota hai balki use regular follow bhi karna hota hai yah tabhi sambhab hoga jab aap regular study karege. Aap time table table is tarah banaye jisme sara important tips samil ho jaye jaise self study karna, numerical practice karna, total subject cover karna. Jab aap study is tarah karege to aasha karte hain ki aapka exam jarur niklega.

No comments:

Post a Comment