How to make Best Notes for Exam !! Exam ke lie Notes banaye !! - All Exam Guide

Tuesday, August 14, 2018

How to make Best Notes for Exam !! Exam ke lie Notes banaye !!

Friends exam me best result lane ke lie accha revision bahut hi jaruri hai aur accha se revision tabhi ho sakta hai jab aapka exam se pahle ek bahut hi accha notes taiyar ho. Islie friends aaj ham exam ke lie notes kaise taiyar kre, isi topic ke bare me bat karege. Aap is post ko last tak padhte rahie aapko pata chal jaega ki exam ke lie Notes kaise taiyar kiya jaye.

Exam ke lie Notes kaise taiyar kre.
Notes kiase banaye. How to make notes.

How to make Notes for Exam. (Exam ke lie Notes kaise Taiyar kre)

Friends best notes taiyar karne ke lie aap niche likhe points ko follow kre. Agar aap in sare points ko acche se follow karte hai to ham aasha karte hai ki aapka notes bahut accha banega.

(1) Accha likhabat ka hona:- 

Best notes taiyar karne ke lie ek bahut accha likhabat ka hona bahut hi jaruri hai. Agar aap best notes taiyar karte hai to aapka likhabat sundar aur satik hona chahiea. Aap notes taiyar karte bakt hamesa yad rakhe ki aap ka writing kafi sundar ho. Aisa rahne se jab kabhi bhi aap dubara notes ko revise karenge to aapko bah bahut hi sundar dikhega aur aap use acchi tarah se revise bhi kar sakege. Acchi likhabat rahne se aapko aapke dvara likhe gaye sare points acche se samajh me aaenge. Islie aap hamesa kosis kre ki aapka likhabat bahut hi sundar ho.
 

(2) Highlight Words by highlighter :- 

Friends best notes taiyar karne ke lie word ko highlight karna bahut hi jaruri hota hai. Agar aap notes taiyar karte bakt words ko highlight kar dete hai to aapko revision karne me bahut hi easy hoga. Highlight karne se main-main point par aapka najar bhi bahut acche se jaaega. Jab aap word ko highlight karege to is se aapka notes perfect taiyar ho jaaega. Aap notes ko aache se padhkar uske main aur important point ko highlight jarur kre. 
 

(3) Write notes in regular way:- 

Aap hamesa kosis kre ki aap jab notes taiyar kar rhe ho to usme aap total points and topic ko regular way me likhe. Agar aap points aur topic ko regular way me likhte hai to is se aapka kisi bhi chapter ka total topic ek sath note ho jaega aur is se aapko revision karne me bahut hi easy hoga. Agar aap chapter and topic ko regular way me nhi likhte hai to is se exam time me revision karne me aapko bahut hi paresani hoga aur aap ka taiyar kiya hua notes bekar ho jaaega.

exam ke lie best Notes kaise banaye
Exam ke lie best Notes banane ta tarika.

(4) Alag-alag copy banana:- 

Kabhi-kabhi student ek hi coppy me 2-3 subject ka notes likhne lagte hai, aisa kabhi bhi nhi karna chahiea. Aisa karne se aapka ek separate aur sundar notes taiyar nhi ho paega. Islie aap hamesa kosis kre ki aap notes alag-alag taiyar kre. Matlab ki physics ka notes alag copy me aur chemistry ka notes alag copy me. Jab aap alag-alag subject ka notes alag-alag copy me likhege to is se aapka notes perfect rahega aur aapka notes bahut hi best taiyar hoga. 
 

(5) Daily class karna:- 

Best Notes kaise taiyar kre iske lie yah bhi jaruri hai ki aap class daily kre. Jab tak aap class daily nhi karege aapka notes bahut accha taiyar nhi hoga kyonki aapke pass subject ka self understanding nhi hoga aur jab tak aapke pas subject ka self understanding nhi hoga tab tak aap kisi bhi topic ko behtar tarike se nhi likh sakte hai. Islie notes taiyar karne se pahle aapko us subject ke topic ka best knowledge hona chahiea aur yah aapko daily class karne ke bad hi mil paaega.
 

(6) Kuch words ko alag se likhna:- 

Best notes taiyar karne ke lie yah bhi jaruri hota hai ki jab aapko teacher padha rhe hai to aap unki bato ko dhyan se sune aur kuch point ko aap apne dhang se likhe. Jab aap kuch point ko apne dhang se likhege to is se aapka notes bahut hi accha taiyar hoga. Kyonki kabhi-kabhi yah bhi hota hai ki teacher samjhate to bahut kuch hai lekin utna likhba nhi pate. Islie jab aap words ko apne tarike se likhege to teacher ki batayi hui sari bate aapki notes me aa jaiegi. 
 

(7) Numerical practice notes alag banaye:- 

 Ek bahut accha notes taiyar karne ke lie yah bhi bahut jaruri hota hai ki jab aap numerical practice kar rhe he to use ek alag copy me kre. Jab aap numerical practice notes ko bhi same copy me likhte hai to aapka notes best taiyar nhi ho pata hai. Islie ek satik aur accha note banane ke lie aap numerical practice ki copy ko alag rakhe.
 

(8) Always use best paper copy:- 

Notes taiyar karne ke lie yah bhi bahut jaruri hota hai ki aap jis copy me notes taiyar kar rhe hai bah copy kaisa hai. Aap jis copy me notes taiyar kar rhe hai bah copy majbut aur acche quality ka hona chahiea. Agar aapka copy majbut aur acche quality ka nhi hoga to bah copy jaldi fat jaega aur aapke dvara taiyar kiya jane bala notes hamesa ke lie barad ho jaega. islie yah jaruri hai ki aapka notes ka copy bahut hi acche quality ka hona chahiea.

No comments:

Post a Comment