Hello friends, aaj ham janege ki board exam me topper kaise bna jaye. Ham board exam ke lie kaun-kaun sa tips follow kre ki board exam me topper ban jaye ya phir bahut accha mark la sake. Aap is post ko last tak acche se padhe aapko acche se knowledge ho jaega ki aakhir ham kis tarah se board exam de taki board exam me topper ban ske.
How to topper in board exam |
How to top in board exam (Board exam topper ke tips)
How to write paper in board exam (Board Exam me paper kaise likhe)
Board exam me bahut accha mark lane ke lie bahut jaruri hota hai ki paper kaise likha jaye. Agar aap paper acche se nhi likhte hai to aapka answer right rahne par bhi aapko utna mark nhi mil paega jitna milna chahiea. Aap paper likhne ke lie niche likhe tips ko follow kijie.- Exam paper me likhabat sundar likhna:- Exam paper me hamesa kosis kre ki writing (achhar) bahut hi sundar ho. Aapka likhabat jitna sundar rahega aapko exam me paper check karne bala utna hi accha mark dega kyonki exam paper sundar rahne par paper chek karne bale ko jyada satisfaction hoga aur vah aako mark dene me koi kami nhi karega. Lekin jab aap writing accha nhi likhege to aapka exam paper sundar nhi dikhega aur paper chek karne bala accha se paper check nhi karega aur aapko mark bhi utna jyada nhi dega. Islie exam paper me hamesa kosis kre ki writing bahut hi sundar likhe.
- Answer ke length par dhyan dena:- Board exam me bahut accha mark lane ke lie yah bhi jaruri hota hai ki question ke answer ka length bahut hi accha rhe. Agar aapko 2 mark ka question diya jata hai to aap use kam se kam 6-7 line me acche se likhe. Aap agar chahe to use 12-14 line me likh sakte hai. Aap question paper ke answer jitna achha se likhege aapko utna hi accha mark milne ki sambhabna rahegi. Aap question ko proper aur acche se likhe. Aap question ko jitna accha se likhege aapko bah utna hi mark dilane me kamyab rahegi.
- Answer ko proper likhna:- Kabhi-kabhi student exam paper me bahut hi aise sabd ko likh dete hain jiska question paper ke answer se koi relation nhi hota hai. Aise me agar paper check karne bale ki us par najar jaati hai to bah yahi samajhte hi ki yah student bas time pass kiya hai aur aap jis question ka sahi answer dege use bhi acche se check nhi karega. Islie hamesa kosis kre ki board exam me top karne ke lie question ke answer ko proper likhe.
- Formulae likhne ki aadat ko dalna:- Aap agar kisi question ke answer ko likhte hai aur agar usme koi mathematical formulae aata hai to aap hamesa kosis kre ki usme mathematical formulae ko likhe. Is se paper check karne bale ko yah lagta hai ki question ka answer bahut hi accha hai aur bah aapko full mark dene me koi kasar nhi karta. Jab aap answer ke sath mathematical formulae ko likhte hai to aapke answer ki value badh jati hai. aur aapko full mark milta hai.
- Answer ko points me likhna:- Jab aap question ko likh rhe he to hamesa kosis kijiega ki exam paper ko point by point likhe jab aap exam paper ko point by point likhte hai to is se paper check karne bale ko paper check karne me bahut hi easy hota hai aur aapko mark bahut hi acche se milta hai.
- Board Exam me bahut accha mark lane ke lie aur topper ban ne ke lie yah bhi jaruri hota hai ki agar aap difference bala question likhte hai to aap use column me jarur likhe. Jab aap difference bale question ko column bana kar likhte hai to us se difference kafi had tak clear lagta hai.
How to study for topper (Topper banne ke lie kaise padhe)
Board exam me topper banne ke lie yah jaruri hota hai ki aapke pas ek satik study plan ho. Agar aapke pass ek best study plan hai to aap bahut hi acche se board exam me topper ban sakte hai. Aap apne study study plan ko improve karne ke lie niche likhe tips ko follow kar sakte hai.- Best study time:- Acche se topper banne ke lie yah jaruri hai ki aapke pass ek best study plan ho. Agar student ke pass best study plan hota hai to syllabus bhi time par khatam hota hai aur padhne me man bhi lagta hai. Aap apne study plan me morning me padhne ki aadat jarur dale. Jab aap morning me padhege to us time aapko disturb bhi bahut kam hoge aur aapka mind bilkul fresh rahega. Morning me padhne se aapka study ka base bahut hi jyada accha ho jaega. Jaise-jaise aapka basic majbut hota jaaega aap strong student bante jaege. Is lie aap hamesa kosis kre ki aap morning me study kre.
- Attention on syllabus:- bahut sare student ko maine dekha hai ki bah kisi-kisi chapter par bahut hi hard work karte hai lekin kabhi-kabhi kuch chapter ko bah bilkul bhi dhyan nhi dete to aisa karne se aap board exam me bahut accha nhi kar sakte. Aapko baord exam me best mark lane ke lie total syllabus ke chapter ko uske length ke anusar padhna chahiea.
- Attention on total subject:- board exam me best mark lane ke lie yah bhi jaruri hota hai ki aap total subject ko acche se padhe. Agar aap total subject ko acche se nhi padhte to board exam me fail hone ka bahut hi jyada chance rahta hai. Aagar aap 1 ya 2 subject ko acche se padh bhi liye lekin other subject ko acche se nhi padhte to aap board exam me fail ho jaaege. Islie yah bahut jaruri hai ki aap total subject ko acche se padhe.
- Study hard toppic:- Board exam topper banne ke lie yah bhi jaruri hai ki aap hard topic ko acche se padhe. kabhi-kabhi student hard topic ko acche se nhi padhte hai. Is se unka easy topic ka question to exam me ban jata hai lekin jab kabhi bhi hard topic ka question exam me aata hai to unse nhi ban pata hai. Islie sare topic ko acche se padhe.
No comments:
Post a Comment