Friends study me hard work to sabhi karte hai lekin exam me best mark usi student ka aata hai jo study sahi tarika se step wise step karte hai. To aaj ham
study karne ka best tarika ke bare me janege kyonki agar aapko exam me best mark lana hai to aapko study ke lie ek special plan use karna padega.
Best method of study - Study ka sabse best tarika.
(1) Study according to time-table
Best study karne ke lie ek accha time table set karna bahut jaruri hai. Jab tak ek best time-table set nhi hota tab tak aap ek best student nhi ban sakte kyonki best time table set kar ke study karne me bahut help milta hai aur study ka syllabus bhi sahi time par khatm hota hai. Sath-sath best time table follow karne se sare subject par equally focus bhi hota hai. Kyonki yah baat sabhi ko pata hai ki only 1 subject ya 2 subject par focus karne se student best nhi ban sakta islie ek acche student ko sare subject par equally focus karna chahiea.
|
Best Method of study |
(2) Focus on all subject
Ek best student banne ke lie yah bhi bahut jaruri hai kio aap total subject par focus kre. Agar aap only 1 subject par focus karte hai to aapka study best nhi hoga. Kyonki agar aap exam me 1 ya 2 subject par focus karte hain aur other subject me fail kar jate hain to finally aap exam me fail hi kar jaaenge. Islie total subject par equally focus karna bahut jaruri hai. Han aap yah kar sakte hain ki jo subject hard hai us par jyada time diya jae aur jo subject easy hai us par kam time diya jae.
(3) Chapter ko last tak padhna.
Ek best student ka yah bhi khasiyat hota hai ki bah kisi chapter ko end tak padhta hai. Maine bahut sare student ko yah dekha hai ki bah chapter ka initial topic bahut acche se padhta hai lekin last ke topic ko acche se nhi padhta hai. Exam me generally questions kisi bhi chapter ke last portion se hi aata hai. islie yah bhi jaruri hai ki aap last ke topic ko bahut acche se strong kr le. Yah bhi jan le ki competition jaise JEE, Main and Advance or NEET me kisi bhi chapter ke last topic se question jarur pucha jata hai.
(4) Question answer practice
Exam me best mark lane ke lie yah bhi jaruri hai ki question-answer ka practice acche se kiya gaya ho. Kabhi-kabhi student ke sath yah hota hai ki bo class to pura attain karte hain lekin question answer ka practice acche se nhi karte hain, is karan exam ke time unhe padha hua yad nhi aata hai. islie yah bahut jaruri hai ki aap exam ke pahle question answer ko acche se revise kar le. Aap ise practice karne ke lie ek short notes bhi bna sakte hai. Short notes banne se exam ke time me revision karna bahut hi easy ho jata hai aur aapko question ko arrange karna nhi padta hai.
(5) Total class attain karna
Ek best tarika yah bhi hota hai ki jab aap study period me ho to aap total class attain kar rhe ho. Jab tak aap class ka total period acche se attain nhi karte hain tab tak aapka confidence level nhi badh sakta hai. Class irregular rahne se yah bhi hota hai ki kabhi bhi aapko kisi chapter ke total topic par accha pakad nhi ho sakta hai. Jab tak total topic par accha pakad nhi banega tab tak aapka study best nhi ho sakta.
(6) Short notes taiyar karna
Exam ke last time me student ke pass itna bakt nhi hota hai ki bah sare chapter ko bahut acches es dubara revise kar sake. Islie kam time me accha revision ke lie student ko pahle se hi short notes taiyar kar ke rakhna chahiea. Short notes ko aap apne dhang se taiyar kre. jab aap ise apne dhang se taiyar karte hain to exam me taime me revision karne me bahut hi easy hoga. Islie exam se pahle sundar satik short notes jarur taiyar kre.
(7) Exam paper and model set ka practice
Yah bhi bahut jaruri hota hai ki aap exam se pahle kuch model set aur previous year ke question bank ko practice jarur kar le. Is se exam me aapko confidence milega aur aap exam paper ko bahut acche se likh sakte hain. Islie yah bahut jaruri hota hai ki aap practice jarur kre. Aap practice ke lie previous year ka question paper bhi use kar sakte hain.
No comments:
Post a Comment