What is physicsl quantity and its type? What is vector and scalar? - All Exam Guide

Friday, September 7, 2018

What is physicsl quantity and its type? What is vector and scalar?

Physical quantity kya hota hai? Aaj ham ise detail me janege aur yah bhi janege ki yah kitne type ka hota hai? Physicsl quantity to student ko class 8 se hi padhne ko milta hai lekin bah acche se dhyan nhi dete hain. Physical quantity ke bare me full detail class 11 me padhna hota hai. Aaj ham yah bhi janege ki vector and scalar kya hota hai?

What is physical quantity?

Ham quantity ka acche tarah se samajhte hain lekin un sare quantity me physical quantity us sare quantity ko kha jata hai jise measure kiya ja sakta hai matlab ki jin sare quantity ko mapa jaa sakta hai un sare quantity ko physical quantity kha jata hai. Example ke lie ham distance ko measure kar sakte hain to distance ko physical quantity kha jata hai. But hamlog aadmi ke sadness ya happiness ko measure nhi kar sakte hain islie sadness ya happiness physical quantity nhi hai.
Physical qunatity
The quantity which can be measured with the help of available technology known as physical quantity. Example:- distance, velocity, temperature, force.
Note:- Happiness and sadness of man can not be measured with the help of available technology. So, it is not a physical quantity.

Type of physical qunatity

In +2 level physical quantity are almost two type.
(i) Scalar quantity or scalar
(ii) Vector quantity or vector.



Scalar quantity

Scalar quantity physical quantity ka ek aisa type hai jisme sirf magnitude hota hai direction nhi. Matlab ki the which has only magnitude not direction known as scalar quantity. Kabhi-kabhi kuch quantity aisa bhi hai jiske pass magnitude aur direction done hota hai lekin bah vector quantity nhi hota hai kyonki bah vector ke law ko follow nhi karta hai. Islie ham kah sakte hai ki scalar quantity bah quantity hai jise padhne ke lie only magnitude ki jarurat hoti hai direction ki nhi.

Vector quantity

Vector un sare quantity ko kahte hai jiske pass magnitude ke sath-sath direction bhi hona chahiea. But agar kisi-kisi quantity ke pass magnitude ke sath-sath direction hai to bah vector kahlane ke lie sufficient nhi hai kyonki bah quantity ke dvara vector law bhi follow hona chahiea.
Condition for vdector
  1. Kisi bhi quantity ko vector hone ke lie magnitude ka hona bahut jaruri hai.
  2. Kisi bhi quantity ko vector hone ke lie direction ka hona bahut jaruri hai.
  3. Kisi bhi quantity ko vector hone ke lie vector ke niyam ko follow karna bhi bahut jaruri hai.
Note:- Two vectors are known as equal vectors when they has equal magnitude and direction. Agar do vector me kisi ka magnitude ya direction koi bhi change rahega to bah vector ko equal vector nhi kha jata hai.

Resultant of vector

jab koi do vector ko joda jata hai to uske result ko resultant kha jata hai. Example ke lie koi do vector 4N and 6N ka same ndirection me hai to iska resultant 10N hoga. But agar bahi dono vector opposite direction me ho to iska resultant 2N hoga.

No comments:

Post a Comment