Hello friend mujhse bahut sare student aakar yah puchte hain ki sir mujhe study karne ka time nhi milta hai kyonki mere tution ke sath-sath school bhi hota hai. Islie time-table manage nhi kar pate hain. To aaj ham best method of study ke bare me janege ki kis tarah se ham apne study ko best bna sakte hain. Kis tarah se ham study kre ki hamara time-table acche se manage hokar chale.
Best time table banane ke lie aap 1-2 din apne daily work ko acche se dekhe aur aap yah dhyan de ki kaunsa time aapke lie suitable hai. Aap ke lie jo bhi time suitable hai aap usi time me study ka time banaye. Aap ko yah bhi dena hoga ki time table me school work aur tuition work dono aana chahiea.
Regular study karne se yah bhi fayda hota hai ki aapka sara time table ek sahi way me chalta hai. Aapka piche ka revision bhi acche se hota jata hai. Islie yah jaruri hai ki aap hamesa regular study kre. Yah bhi baat important hai ki agar aap regular study nhi karte to aapka kabhi-bhi time-table manage nhi ho sakta hai.
How to manage school work and tuition work together.
(1) Make best time-table
Sabse pahle yah jaruri hota hai ki agar aap tuition work aur school work ko ek sath acche se manage karna chahte hain to aap ek bahut accha time-table arrange kijie. Jab aap ek best time table bna lete hain to is se aapka total subject ka study acche se ho paaega aur sare subject ko aap equally time de paenge.Best time table banane ke lie aap 1-2 din apne daily work ko acche se dekhe aur aap yah dhyan de ki kaunsa time aapke lie suitable hai. Aap ke lie jo bhi time suitable hai aap usi time me study ka time banaye. Aap ko yah bhi dena hoga ki time table me school work aur tuition work dono aana chahiea.
Manage School work & tuition work. |
(2) Follow time-table
Ek bahut important yah baat bhi hai ki agar aap time-table bna lete hain aur aap use follow nhi karte hain to aapko time-table banane se koi bhi fayda nhi hone bala hai. Is lie time-table me ek din ka itna bhi subject na add kar le ki aapse daily bo padha hi na jae. Yah bahut jaruri hai ki aap initial me jyada hard time-table na banaye. Agar aap hard time table banate hain to aapse sab din yah follow nhi ho paega aur aapka time-table banana bekar ho jaaega.(3) Regular study
School time aur tuition time ko acche se manage karne ke lie yah bhi jaruri hai ki aap apna study regular kre. Agar aap study regular nhi karte hain to aapke upar piche ka home-work ka burden aur bhi jyada badhte jaaega aur lastly aapka kabhi bhi time table sahi nhi ho paaega. Jab aap regular study karte hain to piche ka sara home-work acche se complete hota hai aur kuch bhi sochne ki jarurat nhi padtee hai.Regular study karne se yah bhi fayda hota hai ki aapka sara time table ek sahi way me chalta hai. Aapka piche ka revision bhi acche se hota jata hai. Islie yah jaruri hai ki aap hamesa regular study kre. Yah bhi baat important hai ki agar aap regular study nhi karte to aapka kabhi-bhi time-table manage nhi ho sakta hai.
No comments:
Post a Comment