Important books for preparation of NEET and engineering. - All Exam Guide

Monday, September 17, 2018

Important books for preparation of NEET and engineering.

Friends NEET exam medical exam ka ek bahut hi important part hota hai. Jab koi bhi student 10th class ke bad biology subject leta hai to generally uske mind me medical exam ke preparation ka khyal rahta hai. Student ko NEET exam ke preparation me bahut sara plan karna padta hai aur in sab plan me sabse important plan hota hai ki kaun-kaun sa book medical exam ke preparation ke lie important hota hai. Medical exam ka preparation kis book se kiya jaye taki medical exam me result conform rhe to friend aaj ham bilkul basic se lekar high level tak ke books ke bare me janege ki kaun-kaun sa book medical exam ke preparation ke lie best book hota hai.

NEET ke lie best book

(1) Objective numerical in physics

Friend ham sabse pahle physics subject ke lie important book ki baat karege. Sabse pahle important book jo aata hai bah hai objective numerical in physics. Objective numerical in physics book ke writer M Karim sir hain. M Karim sir ne is book ko bahut hi acche se likha hai. Is book me numerical basic se lekar high level tak milege. Objective numerical in physics book me bahut sare numerical ka shortcut solution bhi hota hai. Physics ke is bbok me pahle kisi chapter ka shortcut detail bataya hua hota hai aur baad me us se related formulae bhi dekhne ko mil jata hai. Is bbok me bahut sare numerical ko shortcut me solve bhi kiya hua rahta hai. Numerical ko shortcut me solve rahne se student ko numerical solve karne me bahut hi help milta hai. Is book un sare student ke lie bhi bahut helpful hota hai jinse initial stage me numerical solve nhi ho pata hai.

Agar kisi student se numerical solve nhi hota hai to objective numerical in physics book un student ke lie bahut hi helpful hota hai. Jo student study me kamjor hai unhe meri taraf se yahi salah rahega ki bah student shuru-shuru isi book se numerical practice kre. Yah book 11th class aur 12th class ka ek hi volume me aata hai. Is book ko alag-alag kharidne ki koi jarurat nhi hai.

(2) Mahesh jain ka book

Dear students mahesh jain ka book medical exam ke preparation ke lie bahut hi acchi book hai. Mahesh jain ki book me ek sabse badi khasiyat yah hai ki is book me numerical bahut sare mil jate hai. Jo student ke practice ke lie bahut hi accha hota hai. Mahesh jain ke bbok me numerical ka level bhi accha hai aur number of questions bhi jyada hai. Yah bbok bhi dono year ke lie ek sath aata hai. Yah book thoda sa jyada mota hai. Is book ke writer khud Mahesh jain hain. Yah bbok me sare questions milu-jule hain. Hard level ka questions aur easy level ka questions is book me ek sath mil jate hain. 

Medical exam best books

Agar koi student khub sara numerical practice karna chahta hai to uske lie yah book bahut hi acchi hai. Easy level se lekar hard level tak ke sare questions is bbok me mil jate hain. 

(3) Universal self scorer

Yah book un sare student ke pass hona chahiea jo medical ya neet exam ki taiyaree karte hain. Mai personally is book ko bahut hi best manta hu. Is book me questions alag-alag category me diya hua hai jisse student ko practice karne me bahut hi help milta hai. Different-different category me hone ke karan yah book neet exam ke taiyari ke lie aur bhi accha ho jata hai. 

Universal self scorer book two parts me aate hain. Koi student ko mai yahi book suggest karunga. Agar student is book ke sare numerical ko acche se concept ke sath solve kar leta hai to mere khyal se uska medical exam me bahut accha se result aa jaega. 

(4) Concept of physics

Agar koi bhi student medical exam ke lie accha level se taiyari karna chahta hai to mai use yah bbok ek baar jarur use karne kahunga. Concept of physics ke book ke writer h c verma sir hain. Yah book ka level itna accha hai ki agar koi medical exam ka preparation is book se kre aur total questions ko acche se solve kre to physics me uska concept bahut hi strong ho jaaega.

Concept of physics ka book medical exam ke student se jyada best engineering student ke lie hota hai. Jo student engineering ka preparation karte hain unke lie yah book aur bhi jyada best hai.

No comments:

Post a Comment