Exam time me dhyan dene baali baaten !! Important at exam time. - All Exam Guide

Saturday, September 15, 2018

Exam time me dhyan dene baali baaten !! Important at exam time.

Dear students ham saal bhar study karte hain aur phir pure saal ka mehnat ka result is baat par depend karta hai ki hamara exam kaisa jata hai. Bahut baar aisa hota hai ki hamara exam to bahut hi accha jata hai lekin kabhi-kabhi acchi tarah se routine nhi banane par ys sahi dhang se rule nhi follow karne par exam thik nhi jata hai. To aaj ham isi ke bare me baat karunga ki akhir exam time me kya rule follow kre taki hamara result bahut hi best aaye.

Exam time ke lie tips

(1) Short notes banana

Exam se kuch din pahle yah bahut jaruri hai ki aap exam me apne subject ke anusaar short notes banaye. Short notes banane se yah hoga ki aapko exam time me revision me bahut hi help milega. Aapko total chapter fully rup se revision nhi karna padega. Aap short notes ko apne dhang se banaye. Aap short notes ko is tarah se banaye ki exam ke time aapko revision karne me bahut hi madad mile aur aapke dvara taiyar kiye gaye short notes me sara topic aa jaye. Aap apne jarurat ke hisab se short notes me important formula ko bhi likh sakte hain ya formulae ke lie alag se notes taiyar kar sakte hain. Aap notes ko is tarah se banaye ki usme initial se lekar last tak sara topic aa jaye. Aap us notes ke very-very important point ko highlight bhi kar sakte hain. Mere kahne ka matlab yah hai ki aap short notes ko jaise bhi taiyaar kre lekin aap taiyaar jarur kre.


Short notes taiyar karne ke lie yah bhi dhyan rakhna bahut jaruri hai ki aap usme faltu ke chijo ko na likhen. Aap short notes ko jitna simple aur important point ka banaiega bah utna hi aapke lie helpful hoga. Aisa nhi ki aap yah short notes only board exam ke lie banaye aap yah short notes medical exam, NEET exam, Engineering exam sabhi ke lie bna sakte hain. 

(2) Exam time tension free rahna

Dear students maine bahut sare student ko dekha hai ki bah exam ke pahle night me bahut hi tension me rahte hain. Iska mainly reason yah bhi hai ki kuch student pure year acche se study nhi karte hain aur exam ke time unhe yah pata nhi chalta hai ki kaun-kaun sa topic ka study kiya jaae. Islie exam time tension lene se tanik bhi fayda nhi hai kyonki ek purana kahabat hai ki tension se koi fayda nhi hota hai. Aap tension lene ke jagah par apne teacher se milkar unse important topic ke bare me puche aur agar aapka study strong nhi hai to aap important question ka ek list banaye. Aap important topic ka list banane ke lie question bank ka use kar sakte hain. 

(3) Acchi nind lena

Bahut sare student ko maine dekha hai ki exam ke time par bah itna hard work karte hain ki acchi nind bhi nhin le pate hain. Islie yah bahut jaruri hai ki aap exam ke pahle acchi tarah se soye. Agar aap nind acchi tarah se lege to aapka mind fresh rahega aur exam me aapse mistake nhi hoga. Generally yah hota hai ki agar koi student acchi nind nhi leta hai aur exam me exam dene jata hai to ya to us student se question solve hi nhi ho pata hai ya phir unse bahut hi jyada mistake hota hai. Jab aapka brain tandurust rahega to aapko exam dene me man bhi lagega aur aap se koi mistake bhi nhi hoga. Acchi nind lene se aapke sochne aur samajhne ki chhamta puri rahegi aur agar exam me koi question hard ya concept based hoga to aap us question ko acche se sochkar bna denge.

Read current affairs quiz in hindi

(4) Question bank ko samajhna

Ek bahut jaruri baat yah bhi hai ki bahut sare student exam ki taiyaree karte hai lekin unhe important question ya important topic ke bare me acche se pata nhi hota hai. Bah yah bhi samajh nhi pate hai ki exam me kis topic se question jyada pucha jata hai. Agar aapke sath bhi yahi paresani hai to aap ise solve krane ke lie question bank ko use kar sakte hain aap aaram se yah dekhe ki kis sal kis chapter se exam me sabse jyada question puche gaye hain. Kisi bhi chapter ke jis topic se sabse jyada question pucha gaya hoga bahi topic us chapter ka important topic hoga. Aap yah bhi dekhe ki kis topic se kitne mark ka question pucha jata hai. Jis topic se sabse jyada mark ka question pucha gaya hoga bahin topic exam ke lie important hoga aur aap exam ke time un topic ko acche se strong kre.

5 comments:

  1. Get Free MPPSC Notes and MPPSC Study Material for preparation of MPPSC Exam. Sharma Academy is Central India's largest provider of MPPSC Notes and MPPSC Study Material. Sharma Academy MPPSC Notes, Study Material extensively covers all the relevant NCERTs, standard reference books, magazines and journals that are indispensable for the MPPSC Civil Services Examination (Prelims & Mains) preparation.

    ReplyDelete

  2. This is the perfect blog for anybody who
    hopes to find out about this topic.

    ReplyDelete
  3. Excellent post, It’s really helpful

    ReplyDelete
  4. Nice Post, You really give informative information. Thanks for sharing this great article.

    upsc syllabus
    upsc mains syllabus
    upsc prelims syllabus

    ReplyDelete