Friends Rotation physics chapter ko physics ka ek hard chapter me samil kiya jata hai. Aap sab ko pata hi hoga ki rotational physics 11th class ke mechanics part me padhna hota hai. Rotation chapter hard lagne ke piche ek aur bajah hota hai ki student ko rotation chapter ke chhote mote topic ke bare me knowledge nhi hota hai. To aaj ham rotation chapter ke kuch topic ke bare me baat karege aur janege ki kis topic ka matlab kya hota hai?
Moment of inertia nikalne ka bahut hi jyada formulae hota hai lekin mai simple aur basic formulae bata rha hu ki moment of inertia ka value mass aur axis se distance ke square ke product ke barabar hota hai. Moment of inertia ko I symbol se represent kiya jata hai. moment of inertia ka SI unit kg meter square hota hai.
Torque ka value ke lie different-different case me alag-alag formulae hota hai. Lekin abhi ham torque calculate karne ka basic formulae dekhege. Torque calculate karne ke lie position vector aur force vector ka cross product kiya jata hai. Torque ka SI unit newton-meter hota hai.
(5) Angular acceleration
Angular acceleration bilkul linear acceleration se milta-julta hai. Jaise ki linear acceleration linear velocity ka change ka rate hota hai baise hi angular acceleration angular velocity ke change ka rate hota hai. Angular acceleration ka si unit radian per second square hota hai.
Important topic of rotational physics
Biase to rotational physics me bahut hi topic hai aur sara topic apne aap me bahut important hai. To aaj ham kuch bahut hi jyada important topic ke bare me baat karege.(1) Moment of inertia
Dear students agar sabse pahla important topic ki baat karu to bah hai moment of inertia. Moment of inertia ke bina rotation chapter bilkul adhura hai. Moment of inertial bilkul baisa hi hota hai jaisa ki translational motion me mass hota hai. Jis tarah se Newton's laws of motion chapter me mass ka role hota hai bilkul aisa hi role rotational motion me moment of inertial ka hota hai. Moment of inertial ko ham rotational inertia bhi kah sakte hain. Agar kisi body ka moment of inertia jyada hai iska matlab yah hua ki us body me rotational inertia bhi jyada hai.Moment of inertia nikalne ka bahut hi jyada formulae hota hai lekin mai simple aur basic formulae bata rha hu ki moment of inertia ka value mass aur axis se distance ke square ke product ke barabar hota hai. Moment of inertia ko I symbol se represent kiya jata hai. moment of inertia ka SI unit kg meter square hota hai.
(2) Torque
Torque ek rotational motion ka bahut hi important topic hai kyonki bina torque ke koi body rotate hi nhi karega. Kisi bhi body ke rotation ke piche torque ka hi haath hota hai. Koi bhi body torque ke hi karan rotate hota hai. Ham yah bhi kah sakte hai ki jaisa ki translational motion me force ke karan kisi body me transnational motion aata hai bilkul isi tarah rotational motion me torque ke karan body me rotational motion aata hai.Torque ka value ke lie different-different case me alag-alag formulae hota hai. Lekin abhi ham torque calculate karne ka basic formulae dekhege. Torque calculate karne ke lie position vector aur force vector ka cross product kiya jata hai. Torque ka SI unit newton-meter hota hai.
(3) Angular momentum
Friends linear momentum ka name to ham logo ne pahle hi kinematics chapter me suna hai. Linear momentum ka value body ke mass aur velocity ke product ke barabar hota hai. Angular momentum bhi rotational motion me bilkul aisa hi hota hai jaisa ki translational motion me linear momentum. Angular momentum ka value kisi rotating body ke moment of inertia aur angular velocity ke product ke barabar hota hai. Sath-sath me angular momentum ka value position vector aur linear momentum vector ke cross product ke barabar hota hai. Aap angular momentum ko linear momentum se compare kar ke yad kar sakte hain. Angular momentum ka si unit kg meter square per second hota hai.(4) Angular velocity
Jis tarah transnational motion me velocity 1 second me kisi body ke dvara cover karne bala distance hota hai bilkul aise hi rotational motion me angular velocity kisi body ke dvara 1 second cover kiya jane bala angle hota hai. jaise ki linear velocity ka unit meter per second hota hai bilkul baise hi angular velocity ka unit radian per second hota hai.(5) Angular acceleration
Angular acceleration bilkul linear acceleration se milta-julta hai. Jaise ki linear acceleration linear velocity ka change ka rate hota hai baise hi angular acceleration angular velocity ke change ka rate hota hai. Angular acceleration ka si unit radian per second square hota hai.
No comments:
Post a Comment