11th Class important chapter for Medical exam and Engineering exam. - All Exam Guide

Thursday, September 13, 2018

11th Class important chapter for Medical exam and Engineering exam.

Medical exam aur engineering exam bahut hi important hai aur iske preparation ke lie student bahut hi hard work karte hain lekin maine bahut sare student jo ki in exam ka preparation kar rhe hain unko dekha hai ki unko acche se 11th class ke topic ke bare me bhi detail pata nhi hota hai. Islie aaj ham 11th class ke important chapter ke bare me janege ki kaun-kaun sa chapter important hai aur kaun-kaun sa topic se exam me kitne mark ka question aata hai.


Important chapter of 11th class

(1) Kinematics

Friends kinematics chapter ko 11th class ke physics ka 1st chapter kah sakte hai. Is chapter me body ke motion ke bare me padhna hota hai. Example ke lie is chapter me distance, displacement, velocity ke bare me padhna hota hai. Is chapter me one dimensional motion with constant acceleration bahut hi important hai. One dimensional motion with constant acceleration se every year in sare exam me questions pucha jaata hai. Kinematics chapter ka important topic projectile motion aur relative motion bhi hota hai. Baise dekha jaye to projectile motion two dimensional motion hota hai lekin yah bhi medical aur engineering exam ke lie important hai.

(2) Newton's laws of motion

Is chapter me mainly force ke bare me padha jata hai. Kisi body par force lagne par us body ka acceleration kitna aaega aur distance kitna aaega, inhi baato se related study is chapter me kiya jata hai. Normal force, Tension force, Weight, Friction force yah sare type ka force is chapter me padhte hain. Is chapter me inertia, mass, momentum jaise bahut sare topic ke bare me study karte hain. Newton's laws of motion chapte se Medical aur engineering exam me hamesha question pucha jata hai. Is chapter me pulley aur block se related bahut hi question hota hai.

(3) Friction

Actually friction chapter newton's laws of motion chapter ka hi ek part hai lekin ise easy banane ke lie alag se padha jata hai. Friction chapter ke bare me detail aap mere piche ke post me padh sakte hai. Is chapter me padha jata hai ki jab do rough surface ke bich relative motion hota hai to bha ek force utpann ho jata hai isi force ko relative motion kha jata hai. Is chapter me newtons laws of motion ka sara concept use me aata hai.

(4) Circular motion

Is chapter ko aap 11th physics ka chautha chapter bhi kah sakte hain. Is chapter me padha jata hai ki jab koi body circular path par chalta hai to uska motion kis tarah ka hoga. Is chapter me centripital acceleration, tangential acceleration ke bare me padhte hai. Is me ham yah bhi padhte hai ki circular motion kitne type ka hota hai. Jaise ki maine pahle bataya hai ki circular motion two type ke hote hai jisme pahla hai uniform circular motion aur dusra hai non-uniform circular motion.

Read Also:- Daily Current Affairs

(5) Work energy power

Is chapter me body par hone bale work-done ke bare me study karte hain. Sath-sath ham yah bhi study karte hain ki body me kitni energy hai. Aapko pata hoga ki kisi body me mechanical energy two type ka hota hai jisme pahla hai kinetic energy and dusra hai mechanical energy. Is chapter me body ke power ke bare me bhi padha ja sakta hai. Aapko pata hona chahiea ki power work-done ke rate ko kahte hain.

(6) Center of mass

Yah chapter bhi 11th physics ka ek important chapter hai is chapter me ham kisi bhi body ke centre of mass ke position ke bare me study karte hain. Aapko pata hoga ki centre of mass ek aisa point hota hai jha par kisi body ke total mass ko ek jagah par concentrated mana ja sakta hai.

No comments:

Post a Comment