Tuition ke samay dhyan dene baali jaruri baaten. - All Exam Guide

Sunday, September 16, 2018

Tuition ke samay dhyan dene baali jaruri baaten.

Tuition to adhikansh student karte hain to aaj ham janege ki tuition ke time par kaun-kaun sa baat dhyan dene baali hai. Kaun-kaun sa baat ko acche se dhyan diya jaae taki ham tuition ka 100% fayda utha sake. Bahut baar aisa hota hai ki bahut sare student kuch galti ke karan tuition ka utna faayda nhi utha paate jitna unhe uthana chahiea. To aap niche ke sare tips ko follow kre to aapko tuition ka bahut hi fayda milega.

(1) Total homework banana

Agar aap jo tuition kar rhe hain us tuition ka homework pura nhi karte to aapko tuition ka kabhi bhi utna fayda nhi mil paaega jitna ki aap faayda chahte hain islie home work hamesa kre. Home work ki student ka ek aisa punji hota hai jo ki use piche ki baato ko yad rakhne me help karta hai. Agar koi bhi student kitna bhi intelligent kyo na ho agar bah bahut jyada hard work nhi karega to uska study kabhi bhi strong nhi ho paaega. Practice kisi bhi field me aage jane ke lie bahut hi important hai. Agar koi student practice nhi karta hai to uska kabhi bhi study strong nhi hoga. Islie yah bahut jaruri hai ki aap apna home work time dekar acche se kre.
Home work karne se yah bhi fayda hota hai ki aapka mind study par focus rahta hai. Jab tak aapka mind study par focus nhi rahega tab tak aap bahut acche se study nhi kar sakte hain. Baise bhi ek purani kahabat hai ki regular study is the best study. Islie home work karne se study bhi regular rahta hai aur kabhi bhi koi tension bhi nhi hota hai. 


(2) Tuition ke samay par dhyan lagana

Bahut sare student me yah kami hoti hai ki bah tuition ke time par study par utna focus nhi kar paate hain. Bah ya to purani baato ko sochte rahte hain ya phir teacher ke baato ko dhyan se nhi sunte hain. Aisa karne se kabhi bhi aapka syudy strong nhi hoga kyonki teacher jo baat bataenge bah aapke kaan tak to pahuchegi lekin brain tak nhi pahuch paaega. Aur agar aap ko phir bhi kuch yad ho jata hai to bhi aap bhul jaaenge. Islie hamesa kosis kre ki tution ke time par teacher ke baato ko dhyan se sune aur kabhi bhi aap tuition ke time apne brain ko idhar udhar mat bhatkaye. Islie bahut jaruri hai ki aap apna brain study par focus kre.
Ham aasha karte hai ki aap is post ko padhner ke baad hamesa apna mind study par focus karege, kyonki aapko fayda bhi isi me hai.

(3) Kabhi bhi class na gap kre

Ek purani kahabat hai ki jab tak aap regular class nhi karte tab tak aapka study strong nhi hoga. Islie aap tuition se pahle yah tay kar le ki aap apna class regular karege. Agar aap class regular nhi kar sakte to aap class join hi na kre. Kyonki jab tak aap class regular nhi karege tab tak aapka koi bhi chapter ka koi bhi topic strong nhi ho paaega. Kyonki agar teacher koi chapter padhate bhi hain aur aap class gap lekar karege to aapko kabhi koi topic samajh me aaega to kabhi samajh me nhi aaega aur jab tak aapko koi topic samajh me nhi aaega tab tak aapka study strong kaise hoga? Class regular karne se aapka study bhi regular hote rahega is se regular study ke karan aap strong student bhi ban paaenge.
Class kabhi bhi gap nhi karne se teacher ke najar me bhi aap ek acche student ban kar rahege. Is se yah hoga ki teacher aap par acche se dhyan denge kyonki kisi bhi teacher ko regular class karne bala student bahut nhi pasand hota hai. Teacher hamesha regular class bale student ko like karte hain.

(4) Hard study kre

Ek acche student banne ka yah bhi ek mul mantra hai ki aap study ke lie mehnat kre. Jab tak aap study ke lie hard work nhi karege tab tak koi bhi tips aapko fayda nhi karega. Islie yah bahut jaruri hai ki aap hard work kre. Study par time dene aur hard work karne se hi aapka study strong hoga. Jab tak aap hard work nhi karege tab tak aapka kabhi bhi study strong nhi hoga.

No comments:

Post a Comment