Method of charging - Important of class 12 physics. - All Exam Guide

Tuesday, August 7, 2018

Method of charging - Important of class 12 physics.

Hello friends, aaj ham kisi bhi body ko charge karne ka method sikhege. ham yah janege ki kisi bhi body ko kaise aur kitne tarike se charge kiya jata hai. ham kisi bhi body ko charge karne ka basic concept bhi sikhege.

5 method of charging
5 important method of charging of body with detail

kisi bhi body ko charge karne se pahle ham do bat ko jarur janege kyonki agar ham in dono bat ko acchi tarah se jan gaye to body ko cahrge karna bahut hi aasan ho jaega sath-sath charging ke method (tarika) ko bhee janna easy ho jaaega. to bah do point niche hai.
(i) Why atoms are neutarl (parmanu udasin kyo hote hai)
(ii) Basic concept of charging (Charge karne ka basic concept)

(i) Why atoms are neutarl (parmanu udasin kyo hote hai)

ham jante hai ki kisi bhi atom (parmanu) me electron aur proton ka number equal hota hai aur jitna negative charge electron par hota hai utna hi positive charge proton par hota hai. isi karan se kisi atom ka total charge (aavesh) zero ho jata hai. matlab ki atom neutral hota hai. ab ham samajh gaye ki koi bhee atom ke neutral hone ka karan usme equal number of electron aur proton hota hai.

(ii) Basic concept of charging (Charge karne ka basic concept)

abhi upar hamne jana ki kisi bhi atom ke neutral (udasin) hone ka karan equal no. of proton & electron hai kyonki jab dono equal hota hai to ek dusre ke charge ko balance kar leta hai. ab aap thoda sochiea ki agar electron & proton equal number me na ho to kya balance kr paega? aapka jabab hoga nhi, kyonki equal number me nhi hone se positive ya negative koi ek jyada ho jaaega aur koi kam ho jaega, jiske karan +ve aur -ve balance nhi ho paega. matlab ki simple hame pata chal gaya ki agar kisi atom (parmanu) ko charge karna hai to hame prton aur electron ke number ko unequal karna padega. iske lie ya to kisi body se ham electron nikalege ya kisi body me electron ko dalege kyonki proton ko nikalna ya dalna asambhav hai, aisa islie kyonki prton neucleus (nabhik) me rahta hai. ab ham samajh gaye ki kisi bhi body ko charge karne ke lie electron ka transfer karna hoga, chahe yah body se bahar nikle ya body ke andar jae.

NOTE:-  jab electron body se bahar niklega to atom me proton ki sankhya electron se jyada ho jaegai (electron nikalne se pahle electron and proton dono equal tha) aur proton jyada hone se positive charge negative charge se jyada hogi aur body positive charge ho jaaega. matlab ki body ko positive charge karne ke lie electron ko body se bahar nikalna padega. 
isi tarah jab electron ko body ke andar dalege to electron ka sankhya proton se jyada ho jaega aur negative charge positive se adhik ho jaega aur body negative charge ho jaaega.
Finally
jab body se electron nikalta hai to body positive charge hota hai
jab body me electron andar jata hai to body negative charge hota hai.

Method of charging of body
upar me ab tak ham jan chuke hai ki body ke charge hone ka basic concept electron ka transfer hai. ab jitna bhee charging ka method hoga, sab me electron transfer hoga ya to body se bahar ya body ke andar. to body ke charge karne ka nimnlikhit tarika hai.

(i) Charging of body by friction (gharsan ke dvara charging)
(ii) Charging by Conduction (chalan ke dvara charging)
(ii) Charging by Induction (preran ke dvara charging)
(iv) Charging by Thermionic emission (ushma ke dvara charging)
(v) Charging by Field emission (electric field ke dvara charging)

Detail information about charging

(i) Charging by friction:-  

Is method me ham kisi body ko dusre body se ragadte hai. aisa karne se body ke surface ka kuch electron nikalkar dusre body me chala jata hai. aur jis body me electron jata hai bah negative charge ho jata hai (upar padhe hai) aur jis body se electron nikalta hai bah positive charge ho jata hai. isi tarah dono body charge ho jata hai.

Important point in charging by friction
(a) dono body par equal aur opposite charge jama hota hai. matlab ki ek body par agar -q charge aata hai to dusre body par +q charge aaega. aur dono body ke charge ka jod {(+q) + (-q)} zero hota hai.
(b) rubbing (ragadne bala) body me koi ek ya dono body insulator (achalak) hona chahiea. kyonki agar dono conductor (chalak) rahega to body charge nhi hoga.

(ii) Charging by conduction:-  

Is method me ham ek neutral body ko charge body ke contact me rakhte hai aisa karne se ek body (jisme electron density jyada hai) se electron nikal kar dusre body (jisme electron density kam hai) me chala jata hai aur neutral body bhi charge ho jata hai. is tarah se ham do body ke contact me rakhkar charge kar sakte hai.

(iii) charging by Induction:-  

Is method me ham ek charge body ke najdeek koi neutral body rakhte hai to apne aap neutal body ke satah par charge jama ho jata hai aur jab us neutral body ko kisi tisre neutral body ke contact me rakhte hai to dusre body se kuch charge nikalkar tisre me chala jata hai aur is tarah dono neutral body charge ho jata hai.

(iv) Charging by thermionic emission:-  

Is method me ham kisi metal sheet ko aag se garam karte hai aur agar metal sheet ko milne bala energy (urja) work function (karya-falan) se jyada ho to electron metal se nikal jata hai aur body +ve charge ho jata hai.

(v)  Charging by field emission:- 

Is method me ham ek metal sheet ko strong electroc field (vidhut kshetra) me rakhte hai. aisa karne se electron metal sheet se force lagen ke bajah se bahar nikal jata hai aur body +ve charge ho jata hai.

No comments:

Post a Comment